Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_vs4nnofisvc5d7bebs971rllr6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankh Pe PaTTi Bandh Ke Mujhko Tanha ChhoD Diya Hai - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Aankh Pe PaTTi Bandh Ke Mujhko Tanha ChhoD Diya Hai

aankh pe paTTi bandh ke mujh ko tanha chhoD diya hai

ye kis ne sahra mein la kar sahra chhoD diya hai

jism ki bori se bahar bhi kabhi nikal aaunga

abhi to is par KHush hun us ne zinda chhoD diya hai

zehn mera aazad hai lekin dil ka dil muTThi mein

aadha us ne qaid rakha hai aadha chhoD diya hai

jahan dua milti thi allah joDi salamat rakkhe

main ne tere baad udhar se guzarna chhoD diya hai

chaaron shane chit miTTi par gira paDa hun 'tabish'

jaane kis ne dusri jaanib rassa chhoD diya hai

(1993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Pe PaTTi Bandh Ke Mujhko Tanha ChhoD Diya Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Aankh Pe PaTTi Bandh Ke Mujhko Tanha ChhoD Diya Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Aankh Pe PaTTi Bandh Ke Mujhko Tanha ChhoD Diya Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Aankh Pe PaTTi Bandh Ke Mujhko Tanha ChhoD Diya Hai in PDF.