Main Us Se Dur Raha Uski Dastaras Mein Raha
main us se dur raha us ki dastaras mein raha
wo ek shoale ki surat mere nafas mein raha
nazar asir isi chashm-e-mai-fashan ki rahi
mera badan bhi meri ruh ke qafas mein raha
chaman se TuT gaya barg-e-zard ka rishta
na aab o gil mein samaya na KHar-o-KHas mein raha
tamam umr ki be-tabiyon ka hasil tha
wo ek lamha jo sadiyon ke pesh-o-pas mein raha
wo ek shaer-e-ashufta-sar ki mujh mein tha
hawa ka sath na de kar hawa ke bas mein raha
kisi KHayal ke nashshe mein din guzarte rahe
main apni umr ke unniswen baras mein raha
(1702) Peoples Rate This