Jab Koi Tir Hawadis Ki Kaman Se Aaya
jab koi tir hawadis ki kaman se aaya
naghma ek aur mere mutrib-e-jaan se aaya
ek nazzare ne mere liye aankhen bhejin
dil kisi kargah-e-shisha-giran se aaya
jab bhi is dil ne tere qurb ki daulat chahi
ek saya sa nikal kar rag-e-jaan se aaya
main na Darta tha anasir ki sitam-koshi se
KHauf aaya to bas ek umr-e-rawan se aaya
kya karun KHilat o dastar ki KHwahish ki mujhe
zist karne ka saliqa bhi ziyan se aaya
main to ek KHwab ko aankhon mein liye phirta tha
ye sitara mere pahlu mein kahan se aaya
(1466) Peoples Rate This