Hum Tere Husn-e-jahan-tab Se Dar Jate Hain
hum tere husn-e-jahan-tab se Dar jate hain
aise muflis hain ki asbab se Dar jate hain
KHauf aisa hai ki duniya ke satae hue log
kabhi mimbar kabhi mehrab se Dar jate hain
raat ke pichhle pahar nind mein chalte hue log
KHun hote hue mahtab se Dar jate hain
shad rahte hain isi jama-e-uryani mein
han magar atlas-o-kamKHwab se Dar jate hain
kabhi karte hain mubaraz-e-talabi duniya se
aur kabhi KHwahish-e-betab se Dar jate hain
ji to kahta hai ki chaliye usi kuche ki taraf
hum teri bazm ke aadab se Dar jate hain
hum to wo hain ki jinhen ras nahin koi nagar
kabhi sahil kabhi girdab se Dar jate hain
(1459) Peoples Rate This