Dhuan Sa Phail Gaya Dil Mein Sham Dhalte Hi
dhuan sa phail gaya dil mein sham Dhalte hi
badal gae mere mausam tere badalte hi
simaTte phailte sae kalam karne lage
lahu mein KHauf ka pahla charagh jalte hi
koi malul si KHushbu faza mein tair gai
kisi KHayal ke harf-o-sada mein Dhalte hi
wo dost tha ki adu main ne sirf ye jaana
ki wo zamin pe aaya mere sambhalte hi
badan ki aag ne lafzon ko phir se zinda kiya
huruf sabz hue barf ke pighalte hi
wo habs tha ki tarasti thi sans lene ko
so ruh taza hui jism se nikalte hi
(1730) Peoples Rate This