Hum Aise Sar-phire Duniya Ko Kab Darkar Hote Hain
hum aise sar-phire duniya ko kab darkar hote hain
agar hote bhi hain be-intiha dushwar hote hain
KHamoshi kah rahi hai ab ye do-aba rawan hoga
hawa chup ho to barish ke shadid aasar hote hain
zara si baat hai is ka tamasha kya banaen hum
irade TuTte hain hausle mismar hote hain
shikayat zindagi se kyun karen hum KHud hi tham jaen
jo kam-raftar hote hain wo kam-raftar hote hain
gale mein zindagi ke risman-e-waqt hai to kya
parinde qaid mein hon to bahut hoshiyar hote hain
jahan wale muqayyad hain abhi tak ahd-e-tifli mein
yahan ab bhi khilaune raunaq-e-bazar hote hain
gulu-e-KHushk un ko bhejta hai de ke mashkiza
kuchh aansu tishna-kaamon ke alam-bardar hote hain
badan un ko kabhi bahar nikalne hi nahin deta
'qamar-abbas' to ba-qaeda tayyar hote hain
(3329) Peoples Rate This