Zarf Se BaDh Ke Ho Itna Nahin Manga Jata
zarf se baDh ke ho itna nahin manga jata
pyas lagti hai to dariya nahin manga jata
chand jaisi bhi ho beTi kisi muflisi ki to
unche ghar walon se rishta nahin manga jata
dosti kar ke hawa se jo jala den ghar ko
un charaghon se ujala nahin manga jata
apne kamzor buzurgon ka sahaara mat lo
sukhe peDon se to saya nahin manga jata
peT bharte hain jo mange hue TukDe kha kar
un ke hathon se niwala nahin manga jata
bhik bhi mango to tahzib ka kasa le kar
hath phaila ke KHazana nahin manga jata
hai ibaadat ke liye shart aqidat 'dana'
bandagi ke liye sajda nahin manga jata
(2378) Peoples Rate This