Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e1fb7051c38a1afa04e850e760ade4d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahi Dard Hai Wahi Bebasi Tere Ganw Mein Mere Shahr Mein - Abbas Dana Poetry In English - Darsaal

Wahi Dard Hai Wahi Bebasi Tere Ganw Mein Mere Shahr Mein

wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein

be-ghamon ki bhiD mein aadmi tere ganw mein mere shahr mein

yahan har qadam pe sawal hai wahan har qadam pe malal hai

baDi uljhanon mein hai zindagi tere ganw mein mere shahr mein

kise dost apna banaen hum kise dil ka haal sunaen hum

sabhi ghair hain sabhi ajnabi tere ganw mein mere shahr mein

hain sabhi ki apni zaruraten koi kaise banTe mohabbaten

na KHulus hai na hai dosti tere ganw mein mere shahr mein

na wo husn hai na hijab hai na wo ishq mein tab-o-tab hai

na wo aabru-e-wafa rahi tere ganw mein mere shahr mein

main ilaj-e-gham bhi na kar saka tera jam to bhi na bhar saka

hai har ek moD pe tishnagi tere ganw mein mere shahr mein

ye hasad jahan ki nazar mein hai gham-e-'dana' un ke jigar mein hai

hai sabhi ko pyar se dushmani tere ganw mein mere shahr mein

(2077) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Dard Hai Wahi Bebasi Tere Ganw Mein Mere Shahr Mein In English By Famous Poet Abbas Dana. Wahi Dard Hai Wahi Bebasi Tere Ganw Mein Mere Shahr Mein is written by Abbas Dana. Read famous Poem Wahi Dard Hai Wahi Bebasi Tere Ganw Mein Mere Shahr Mein for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Wahi Dard Hai Wahi Bebasi Tere Ganw Mein Mere Shahr Mein in PDF.