Wafadari Pe De Di Jaan Ghaddari Nahin Aai
wafadari pe de di jaan ghaddari nahin aai
hamare KHun mein ab tak ye bimari nahin aai
KHuda ka shukr sohbat ka asar hota nahin hum par
adakaron mein rah kar bhi adakari nahin aai
amir-e-shahr ho kar bhi nahin koi teri izzat
tere hisse mein ghairat aur KHuddari nahin aai
hamari dars-gahon ki nizamat aisi bigDi hai
kitaben paDh ke bhi bachchon mein hushyari nahin aai
lagai aag us ne shahr mein itni safai se
ki us ke ghar pe uD ke ek bhi chingari nahin aai
abhi se kis liye beTe ko bhejen naukri karne
hamare dast-o-pa mein itni lachaari nahin aai
main nadani pe apni aaj tak hairan hun 'dana'
ki duniya ko samajhne ki samajhdari nahin aai
(6999) Peoples Rate This