Koi Subut-e-jurm Jagah Par Nahin Mila
koi subut-e-jurm jagah par nahin mila
TuTe paDe the aaine patthar nahin mila
patthar ke jaisi be-hisi us ka nasib hai
wo qaum jis ko koi payambar nahin mila
jab tak wo jhuT kahta raha sar pe taj tha
sach kah diya to taj hi kya sar nahin mila
hum raat-bhar jalen bhi tumhein raushni bhi den
hum ko charagh jaisa muqaddar nahin mila
shahr-e-sitam bhi jashn-e-aman mat mana abhi
shayad sitamgaron ko tera ghar nahin mila
man bap ki duaon se baDh kar jahez mein
dulhan ko aur koi bhi zewar nahin mila
'dana' wo ab bhi aata hai tanhaiyon mein yaad
duniya ki bhiD mein jo bichhaD kar nahin mila
(1645) Peoples Rate This