Aql-o-danish Ko Zamane Se Chhupa Rakkha Hai
aql-o-danish ko zamane se chhupa rakkha hai
KHud ko danista hi diwana bana rakha hai
ghar ki viraniyan le jae chura kar koi
isi ummid pe darwaza khula rakkha hai
ban gae unche mahal un ki ibaadat gahen
nam daulat ka jahan sab ne KHuda rakkha hai
qabil-e-rashk se wo duKHtar-e-muflis jis ne
tang-dasti mein bhi izzat ko bacha rakkha hai
jis ke mahlon mein charaghon ka na tha koi shumar
us ki turbat pe faqat ek diya rakkha hai
is se baDh kar teri yaadon ki karun kya tazim
teri yaadon mein zamane ko bhula rakkha hai
surKH-ru ho gain tanhaiyan meri 'dana'
us ne kandhe pe mere dast-e-hina rakkha hai
(1716) Peoples Rate This