Thi Yaad Kis Dayar Ki Jo Aa Ke Yun Rula Gai
thi yaad kis dayar ki jo aa ke yun rula gai
bas ek pal mein jaise zindagi bhi Dagmaga gai
guman tha ye ki dab gain wo hasraton ki bijliyan
ye kaun si nai chamak bujhe diye jala gai
girain shaKH shaKH se KHizan ne phul pattiyan
uDe jo bij har taraf to phir bahaar aa gai
khula nigah-e-yar ka jo mai-kada to yun laga
ki pyas ek umar ki bas ek nazar bujha gai
KHuda-qasam main bach gaya KHata ki tez dhaar se
junun ki ek ada thi jo mujhe yun aazma gai
ye kya hua ki ab tujhi se bad-guman main ho gaya
main sochta tha zindagi tu mujh ko ras aa gai
mili hai 'azim'-e-suKHan ye kaisi tirgi tujhe
tere KHayal mein jo itni raushni baDha gai
(1505) Peoples Rate This