Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7e5d11ab1825d302fb0ff22c07e1984b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Subu UTha Mere Saqi Ki Raat Jati Hai - Aazim Kohli Poetry In English - Darsaal

Subu UTha Mere Saqi Ki Raat Jati Hai

subu uTha mere saqi ki raat jati hai

nazar mila mere saqi ki raat jati hai

ki tu manae mujhe is liye main ruTha hun

mujhe mana mere saqi ki raat jati hai

hai meri jaan meri jaan tere tabassum mein

tu muskura mere saqi ki raat jati hai

shab-e-visal ki KHushbu faza ki rangini

kahin se la mere saqi ki raat jati hai

kisi bahaar ka naghma koi suhani ghazal

tu gunguna mere saqi ki raat jati hai

phir ek fareb mein ye shab guzar na jae kahin

qasam na kha mere saqi ki raat jati hai

qarib ho ke bhi 'azim' ke tu qarib nahin

palaT ke aa mere saqi ki raat jati hai

(1427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subu UTha Mere Saqi Ki Raat Jati Hai In English By Famous Poet Aazim Kohli. Subu UTha Mere Saqi Ki Raat Jati Hai is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Subu UTha Mere Saqi Ki Raat Jati Hai for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Subu UTha Mere Saqi Ki Raat Jati Hai in PDF.