Kidhar Ka Tha Kidhar Ka Ho Gaya Hun
kidhar ka tha kidhar ka ho gaya hun
musafir kis safar ka ho gaya hun
KHuda us ko sada pur-nur rakkhe
main tara jis nazar ka ho gaya hun
dhare jaenge sab ilzam mujh par
main hissa har KHabar ka ho gaya hun
mujhe ayyariyan sab aa gai hain
main ab tere nagar ka ho gaya hun
teri nazron ke ek farman hi se
main qaidi umr bhar ka ho gaya hun
mujhe ab ishq miTTi se nahin hai
main aashiq mal-o-zar ka ho gaya hun
riwayat chhoD baiTha hun main apni
main dushman apne ghar ka ho gaya hun
wo jis ko shaeri kahte hain 'azim'
main ghayal us hunar ka ho gaya hun
(1702) Peoples Rate This