KHayal-e-yar Ka Jalwa Yahan Bhi Tha Wahan Bhi Tha
KHayal-e-yar ka jalwa yahan bhi tha wahan bhi tha
zamin par panw the mere nazar mein aasman bhi tha
diye raushan the har jaanib andhera tha magar dil mein
bahut tanha tha main lekin sharik-e-karwan bhi tha
chune tinke bahut main ne banaya aashiyan apna
azal se ek musafir hun mujhe is ka guman bhi tha
udhar jaana bhi tha lazim idhar majbur thi sohni
ghaDa kachcha tha hathon mein udhar dariya jawan bhi tha
sabhi shamil the yaro yun to gulshan ki tabahi mein
ab itna saf kya kahiye ki un mein baghban bhi tha
mere har zaKHm par ek dastan thi us ke zulmon ki
mere KHun-bar dil par us ke hathon ka nishan bhi tha
mukarta tha wo apne tir se to ek taraf 'azim'
udhar thame hue ek hath mein zalim kaman bhi tha
(1609) Peoples Rate This