Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2fd65dfebe1b6d877fae62d01e9e66ce, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ho Sitam Kaisa Bhi Ab Haalat Ki Shamshir Ka - Aazim Kohli Poetry In English - Darsaal

Ho Sitam Kaisa Bhi Ab Haalat Ki Shamshir Ka

ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka

waqt badlega kisi din ruKH meri taswir ka

jaan-lewa hai tumhaara be-niyazi ka chalan

hashr dekhe hi banega ab dil-e-dil-gir ka

baiThti hai kaun si karwaT ye bazi ishq ki

gardishon ke hath mein hai faisla taqdir ka

kaun bandhega meri bikhri hui ummid ko

khul raha hai ab to har halqa meri zanjir ka

lutf lete ho kaman se chhoD kar jis ko ab aap

kash koi mujh se puchhe kya hua us tir ka

reKHta se ishq 'azim'? wo bhi aise daur mein

dekhna kya haal hota hai teri tahrir ka

(1493) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Sitam Kaisa Bhi Ab Haalat Ki Shamshir Ka In English By Famous Poet Aazim Kohli. Ho Sitam Kaisa Bhi Ab Haalat Ki Shamshir Ka is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Ho Sitam Kaisa Bhi Ab Haalat Ki Shamshir Ka for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Ho Sitam Kaisa Bhi Ab Haalat Ki Shamshir Ka in PDF.