Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ah14ktktpj4vqg036k6rin46n2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Ishq Hai Ki Jis Ki Gali Ja Raha Hun Main - Aazim Kohli Poetry In English - Darsaal

Ek Ishq Hai Ki Jis Ki Gali Ja Raha Hun Main

ek ishq hai ki jis ki gali ja raha hun main

aur dil ki dhaDkanon se bhi ghabra raha hun main

kar dega wo muaf mere har gunah ko

ye soch kar gunah kiye ja raha hun main

chhoDa kahin ka mujh ko na duniya ke dard ne

phir bhi tera karam ki jiye ja raha hun main

rah-e-wafa mein miT gae jab fasle sabhi

phir kyun nigah-e-yar se sharma raha hun main

phir ho rahi hain pyar ki sab hasraten jawan

phir dil usi ki yaad se bahla raha hun main

ek din chuka hi dunga zamane ka bhi hisab

kuchh baat hai jo zabt kiye ja raha hun main

ulfat ki rah par tujhe mil jaega KHuda

is be-qarar dil ko ye samjha raha hun main

wo shoKH ek nigah mein sab saf kah gaya

muddat se jis ko kahne se katra raha hun main

'azim' yaqin nahin use kyun meri baat par

kya kam hai ye ki us ki qasam kha raha hun main

(1707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ishq Hai Ki Jis Ki Gali Ja Raha Hun Main In English By Famous Poet Aazim Kohli. Ek Ishq Hai Ki Jis Ki Gali Ja Raha Hun Main is written by Aazim Kohli. Read famous Poem Ek Ishq Hai Ki Jis Ki Gali Ja Raha Hun Main for youth and Student by Aazim Kohli. Free Download Ek Ishq Hai Ki Jis Ki Gali Ja Raha Hun Main in PDF.