Ehsas Ke Sukhe Patte Bhi Armanon Ki Chingari Bhi
ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi
ek dil sine mein TuTa sa aur fitrat mein dildari bhi
mast umangon ke jhonke aur faqa masti ka aalam
hasrat ki tez hawaen bhi ummid ki aatish-bari bhi
dil par khole uDne ke liye uDne ka magar imkan kahan
roken pairon ki zanjiren pinjre ki chaar-diwari bhi
dekha na tujhe ai rab hum ne han duniya teri dekhi hai
saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla nari bhi
behaal na ho yun nadan dil har haal mein jina hai lazim
hai raste mein aasani bhi majburi bhi dushwari bhi
ek khel musalsal gardish ka dekha hai hum ne gulshan mein
phulon ka khil kar murjhana aur kaliyon ki kilkari bhi
manzil pe na pahuncha jab koi ilzam usi par kyun aae
rah-raw ke bhaTakne mein hai kuchh rahbar ki zimme-dari bhi
'azim' teri barbaadi mein sab ne mil-jul kar kaam kiya
kuchh khel lakiron ka bhi hai kuchh waqt ki kar-guzari bhi
(1842) Peoples Rate This