Doston Ki Bazm Mein Saghar UThae Jaenge
doston ki bazm mein saghar uThae jaenge
chandni raaton ke qisse phir sunae jaenge
aaj maqtal mein laga hai sar-phiron ka ek hujum
phir kisi qatil ke jauhar aazmae jaenge
zikr phir guzre zamanon ka wahan chhiD jaega
waqt ke chehre se phir parde uThae jaenge
chal paDega phir bayan ek chand se ruKHsar ka
yaad phir zulfon ke pech-o-KHam dilae jaenge
baat chal niklegi phir iqrar ki inkar ki
phir wahi bachpan ke bhule git gae jaenge
yaad aaenge fasane yun to sab ko bazm mein
kuchh kahenge aur kuchh bas muskurae jaenge
jo andhere DhunDhte hain munh chhupane ke liye
raushni ke ru-ba-ru ek din wo lae jaenge
maut ne har bazm ki surat badal Dali yahan
rah gae kuchh yar so wo bhi uThae jaenge
aa chalen 'azim' purane doston ke darmiyan
yaad ki basti mein phir kuchh gul khilae jaenge
(1530) Peoples Rate This