Bahut Aziz Tha Aalam Wo Dil-figari Ka
bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka
sukun ne chhin liya lutf be-qarari ka
hamein bhi KHu thi zamanon se dil jalane ki
unhen bhi shauq purana tha shola-bari ka
dilon mein un ke raha iztirab roz-o-shab
wo jin ke sar pe raha bojh taj-dari ka
wo jate jate mujhe apne gham bhi saunp gaya
ajib Dhang nikala hai gham-gusari ka
kaha tha tum se ai 'azim' sambhal sambhal ke chalo
bharam na rakkha magar tum ne parda-dari ka
(1326) Peoples Rate This