Baat Bachchon Ki Thi LaDne Ko Siyane Nikle
baat bachchon ki thi laDne ko siyane nikle
phir ajab kya hai ki bachche bhi laDake nikle
dhyan man rakhti thi mera wo zamane nikle
hain yun ab roz sawere se kamane nikle
aam ke bagh se jab se hain parinde ghaeb
baad us ke kahan phir aam rasile nikle
poTli jis ke liye laDti rahin auladen
man ki us poTli mein sirf jharoke nikle
ye to kal-yug hai khara is mein nahin hain koi
mujh ko shikwa nahin sikke mere khoTe nikle
phir gharibon ki shikayat ka KHuda hafiz hain
jab waziron ke amiron hi se rishte nikle
gard jab saf hui sab ne ye manzar dekha
jo nazar aate the unche wahi baune nikle
ibtida phir se hai ek aur safar ki 'atish'
baad marne ke bhale pairon se jute nikle
(1355) Peoples Rate This