Zindagi Guzri Meri KHushk Shajar Ki Surat
zindagi guzri meri KHushk shajar ki surat
main ne dekhi na kabhi barg-o-samar ki surat
KHub ji bhar ke rulaen jo nazar mein un ki
qimti hon mere aansu bhi guhar ki surat
apne chehre se jo zulfon ko haTaya us ne
dekh li sham ne tabinda sahar ki surat
is nae daur ki tahzib se allah bachae
masKH hoti nazar aati hai bashar ki surat
haram-o-dair se matlab na kalisa se gharaz
kash ye bhi kahin hote tere ghar ki surat
nek aamal bhi auron ke nahin japte hain
aib apne nazar aate hain hunar ki surat
kya koi us pe bhi uftad paDi hai 'atish'
abr barsa hai mere dida-e-tar ki surat
(1414) Peoples Rate This