Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_acc5ec6b16706c3a490d3375bc559696, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Mere Qalb Ko Chhedega Kab Guman Mein Tha - Aatish Bahawalpuri Poetry In English - Darsaal

Wo Mere Qalb Ko Chhedega Kab Guman Mein Tha

wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha

jo ek tir mere dost ki kaman mein tha

wo zer-e-saya-e-altaf-e-baghban mein tha

jo aashiyana zad-e-barq-e-be-aman mein tha

figar lai se hua meri sina-e-nai bhi

nafas nafas teri chahat ka imtihan mein tha

ye moajaza tha yaqinan teri mohabbat ka

jo auj-e-fikr-o-taKHayyul mere bayan mein tha

wo jis ne dhup ki parchhain tak nahin dabi

use samajhte ho har lamha saeban mein tha

muKHalifon ko bhi apna bana liya tu ne

ajib tarah ka jadu teri zaban mein tha

niyaz-e-ishq ne aaKHir uTha diya 'atish'

wo ek parda sa hael jo darmiyan mein tha

(1457) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mere Qalb Ko Chhedega Kab Guman Mein Tha In English By Famous Poet Aatish Bahawalpuri. Wo Mere Qalb Ko Chhedega Kab Guman Mein Tha is written by Aatish Bahawalpuri. Read famous Poem Wo Mere Qalb Ko Chhedega Kab Guman Mein Tha for youth and Student by Aatish Bahawalpuri. Free Download Wo Mere Qalb Ko Chhedega Kab Guman Mein Tha in PDF.