Tumhein Zeba Nahin Hargiz Sile Ki Aarzu Rakhna

tumhein zeba nahin hargiz sile ki aarzu rakhna

tumhaara kaam hai 'atish' qalam ki aabru rakhna

agar dil mein tamanna-e-nashat-e-rang-o-bu rakhna

maal-e-KHanda-gul ko bhi apne ru-ba-ru rakhna

ye mai-KHana hai mai-KHana taqaddus us ka lazim hai

yahan jo bhi qadam rakhna hamesha ba-wazu rakhna

kahin tauq-o-salasil hain kahin zahr-e-halahal hai

mujhe har aazmaish mein ilahi surKH-ru rakhna

zamane par kise malum kaisa bar guzra hai

mera haqq-o-sadaqat par madar-e-guftugu rakhna

na mil pae suragh-e-manzil-e-jaanan na mil pae

hamara kaam hai jari talash-o-justuju rakhna

(1415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhein Zeba Nahin Hargiz Sile Ki Aarzu Rakhna In English By Famous Poet Aatish Bahawalpuri. Tumhein Zeba Nahin Hargiz Sile Ki Aarzu Rakhna is written by Aatish Bahawalpuri. Read famous Poem Tumhein Zeba Nahin Hargiz Sile Ki Aarzu Rakhna for youth and Student by Aatish Bahawalpuri. Free Download Tumhein Zeba Nahin Hargiz Sile Ki Aarzu Rakhna in PDF.