Lakh Pardon Mein Go Nihan Hum The
lakh pardon mein go nihan hum the
phir bhi har chiz se ayan hum the
ek aalam ke tarjuman hum the
un ke aage hi be-zaban hum the
hum hi hum the wahan jahan hum the
aap aae to phir kahan hum the
har rag-o-pai mein barq raqsan thi
hae wo waqt jab jawan hum the
aaj to KHair se hain arsh-maqam
kal zamin par bhi aasman hum the
gham ke maron ko naz tha hum par
jazba-e-gham ke tarjuman hum the
har qadam pe thi samne manzil
su-e-manzil rawan-dawan hum the
zindagi bhar jo lab pe aa na saki
dard-o-gham ki wo dastan hum the
doston ka to zikr kya 'atish'
dushmanon par bhi mehrban hum the
(1267) Peoples Rate This