KHamosh BaiThe Ho Kyun Saz-e-be-sada Ki Tarah

KHamosh baiThe ho kyun saz-e-be-sada ki tarah

koi payam to do ramz-ashna ki tarah

kahin tumhaari rawish KHar-o-gul pe bar na ho

riyaz-e-dahr se guzre chalo saba ki tarah

niyaz-o-ijz hi mearaj-e-adamiyyat hain

baDhao dast-e-saKHawat bhi iltija ki tarah

jo chahte ho badalna mizaj-e-tufan ko

to naKHuda pe bharosa karo KHuda ki tarah

mujhe hamesha rah-e-zist ke dorahon par

ek ajnabi hai jo milta hai aashna ki tarah

tamam umr raha sabiqa yazidon se

mere liye to ye duniya hai karbala ki tarah

umid un se wafa ki to KHair kya kije

jafa bhi karte nahin wo kabhi jafa ki tarah

ye dahr bhi to hai mai-KHana-e-alast-numa

raho yahan bhi kisi rind-e-parsa ki tarah

zaban pe shikwa-e-be-mehri-e-KHuda kyun hai?

dua to mangiye 'atish' kabhi dua ki tarah

(1518) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamosh BaiThe Ho Kyun Saz-e-be-sada Ki Tarah In English By Famous Poet Aatish Bahawalpuri. KHamosh BaiThe Ho Kyun Saz-e-be-sada Ki Tarah is written by Aatish Bahawalpuri. Read famous Poem KHamosh BaiThe Ho Kyun Saz-e-be-sada Ki Tarah for youth and Student by Aatish Bahawalpuri. Free Download KHamosh BaiThe Ho Kyun Saz-e-be-sada Ki Tarah in PDF.