Kamal-e-husn Ka Jis Se Tumhein KHazana Mila
kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila
mujhe isi se ye andaz-e-ashiqana mila
jabin-e-shauq ko aasudgi nasib hui
sar-e-niyaz ko jab tera aastana mila
tamam umr sahaaron ki justuju mein raha
wo bad-nasib jise tera aasra na mila
kami na thi meri duniya mein aashnaon ki
sitam to ye hai koi dard-ashna na mila
sanam-kadon mein to asnam jalwa-farma the
KHuda ke ghar mein bhi mujh ko kahin KHuda na mila
tumhein to apni jafaon ki KHub dad mili
meri wafaon ka mujh ko koi sila na mila
chaman mein rah ke bhi 'atish' KHizan-nasibon ko
kabhi bahaar ka paigham-e-jaan-faza na mila
(1451) Peoples Rate This