Harf-e-shikwa Na Lab Pe Lao Tum
harf-e-shikwa na lab pe lao tum
zaKHm kha kar bhi muskurao tum
apne haq ke liye laDo be-shak
dusron ka na haq dabao tum
sab ise dil-lagi samajhte hain
ab kisi se na dil lagao tum
maslahat ka yahi taqaza hai
wo na manen to man jao tum
apna saya bhi ab nahin apna
apne sae se KHauf khao tum
maut manDla rahi hai shahron par
ja ke sahra mein ghar banao tum
doston ko to KHub dekh chuke
dushmanon ko bhi aazmao tum
rasti pe madar ho jis ka
ab na wo baat lab pe lao tum
jo bhala mangte the sar but ka
in buzurgon ko phir bulao tum
(1303) Peoples Rate This