Teri Dosti Ka Kamal Tha Mujhe KHauf Tha Na Malal Tha
teri dosti ka kamal tha mujhe KHauf tha na malal tha
mera rom rom tha hairati mera dil bhi mahw-e-dhamal tha
koi shaKH-e-girya lipaT gai mere sukhte hue jism se
main KHizan ki rut mein hara hua ye darud hi mein kamal tha
abhi reg-e-dasht pe sabt hain sabhi naqsh mere sujud ke
wo jo marke ka sabab hua wahi harf-e-haq meri Dhaal tha
meri rakh mein thin kahin kahin mere ek KHwab ki kirchiyan
mere jism-o-jaan mein chhupa hua teri qurbaton ka KHayal tha
inhi hairaton mein basar hui na KHabar hui ki sahar hui
ye tamam arsa-e-zindagi ki muhit-e-sham-e-visal tha
(1536) Peoples Rate This