Aankhon Ko Naqsh-e-pa Tera Dil Ko Ghubar Kar Diya
aankhon ko naqsh-e-pa tera dil ko ghubar kar diya
hum ne wida-e-yar ko apna hisar kar diya
is ki chhuwan se jal uTha mere badan ka rom rom
mujh ko to dast-e-yar ne jaise chinar diya
kis ke badan ki narmiyan hathon ko gudguda gain
dasht-e-firaq-e-yar ko pahlu-e-yar kar diya
ab ke to mujh pe is tarah saqi hua hai mehrban
sare dukhon ko chum kar mai ka KHumar kar diya
mana suKHan teri ata phir bhi kamal hai mera
main ne tere jamal ko rashk-e-bahaar kar diya
mujh se gila baja magar tum bhi kabhi ye sochna
mujh ko ana ke raKHsh par kis ne sawar kar diya
zulmat-e-hijr mein sada us ne diya hai hausla
ab ke magar bujha diya us ne bhi haar kar diya
(1511) Peoples Rate This