Zang-KHurda Lab Achanak Aaftabi Ho Gae
zang-KHurda lab achanak aaftabi ho gae
us gul-e-KHush-rang ko chhu kar gulabi ho gae
is ghazal par aayat-e-paighambari utri hai kya
log kahte hain ki sab misre sahabi ho gae
jhumne lagte hain us ko dekhte hi bagh mein
aise lagta hai parinde bhi sharabi ho gae
ab to mujh par bhi nahin khulta hai darwaza mera
tum to aate hi mere kamre ki chabi ho gae
dost aadam-KHor chiDiyon se abhi hai wasta
kya karunga jab kabutar bhi uqabi ho gae
(1246) Peoples Rate This