Tumhein Gila Hi Sahi Hum Tamasha Karte Hain

tumhein gila hi sahi hum tamasha karte hain

magar ye log bhi kya kam tamasha karte hain

dikhai dete nahin awwalan mere darwesh

kahin milen to ba-raqsam tamasha karte hain

ye KHas bhiD hai marhum baadshahon ki

yahan sikandar-e-azam tamasha karte hain

sharik-e-kar-e-ibaadat nahin rahe ki ye log

darun-e-majlis-e-matam tamasha karte hain

bas ek panw thirakta hai raat-din mujh mein

chahaar-su kai aalam tamasha karte hain

khula hai aaj bhi us KHanqah-e-ishq ka dar

malang aaj bhi paiham tamasha karte hain

tuyur dekhne aate hain meri ek jhalak

hazar bargad-o-shisham tamasha karte hain

ye shahr majma-e-KHali se gar nahin hai KHush

to aao mil ke azizam tamasha karte hain

kuchh aise log hain mere bhi milne wale log

jo bar-janaza-o-chihlum tamasha karte hain

(1570) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhein Gila Hi Sahi Hum Tamasha Karte Hain In English By Famous Poet Aatif Kamal Rana. Tumhein Gila Hi Sahi Hum Tamasha Karte Hain is written by Aatif Kamal Rana. Read famous Poem Tumhein Gila Hi Sahi Hum Tamasha Karte Hain for youth and Student by Aatif Kamal Rana. Free Download Tumhein Gila Hi Sahi Hum Tamasha Karte Hain in PDF.