Bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin Hui Mujhse
bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin hui mujh se
kahani aur asar-afrin hui mujh se
main ek sitara uchhaala to nur phail gaya
shab-e-firaq yunhi dil-nashin hui mujh se
gulab tha ki mahakne laga mujhe chhu kar
kalai thi ki bahut marmarin hui mujh se
baghal se sanp nikale to ho gaya badnam
KHarab achchhi tarah aastin hui mujh se
kahan se aai hai KHushbu mujhe bhi hairat hai
ye raat kaise gul-e-asmin hui mujh se
main apne phul khilae hain us ki jhaDi par
qaba-e-yar bahut reshmin hui mujh se
bas ek bosa diya tha kisi ke mathe par
tamam-shahr ki raushan jabin hui mujh se
ghazal suni to bahut dil se KHush hua 'atif'
magar ghazal ki sataish nahin hui mujh se
(1311) Peoples Rate This