Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0c51a6b6f1aadc77541cec029762fd77, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Kisi Hadse Ka Dar Khole - Aasnath Kanwal Poetry In English - Darsaal

Phir Kisi Hadse Ka Dar Khole

phir kisi hadse ka dar khole

pahle parwaz ko wo par khole

jaise jangal mein raat utri ho

yun udasi mili hai sar khole

pahle taqdir se nimaT aae

phir wo apne sabhi hunar khole

manzilon ne waqar baKHsha hai

raste chal paDe safar khole

jo samajhta hai zindagi ke rumuz

maut ka dar wo be-KHatar khole

hai 'kanwal' KHauf raegani ka

kaise is zindagi ka Dar khole

(1501) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Kisi Hadse Ka Dar Khole In English By Famous Poet Aasnath Kanwal. Phir Kisi Hadse Ka Dar Khole is written by Aasnath Kanwal. Read famous Poem Phir Kisi Hadse Ka Dar Khole for youth and Student by Aasnath Kanwal. Free Download Phir Kisi Hadse Ka Dar Khole in PDF.