Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0f759c73177a6d6ced69066ea735d444, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaghaz Qalam Dawat Ke Andar Ruk Jata Hai - Aasnath Kanwal Poetry In English - Darsaal

Kaghaz Qalam Dawat Ke Andar Ruk Jata Hai

kaghaz qalam dawat ke andar ruk jata hai

jo lamha is zat ke andar ruk jata hai

suraj din bhar zahr ugalta rahta hai

chand ka zoam bhi raat ke andar ruk jata hai

pahle sans jama deta hai honTon par

phir wo apni ghat ke andar ruk jata hai

nikal nahin sakta dharti ka banjar-pan

jo qatra barsat ke andar ruk jata hai

harf ka dip hawa se kaise uljhega

ye nuqta har baat ke andar ruk jata hai

hijr ka mausam KHamoshi aur raat ka Dar

yaadon ki baraat ke andar ruk jata hai

(1583) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaghaz Qalam Dawat Ke Andar Ruk Jata Hai In English By Famous Poet Aasnath Kanwal. Kaghaz Qalam Dawat Ke Andar Ruk Jata Hai is written by Aasnath Kanwal. Read famous Poem Kaghaz Qalam Dawat Ke Andar Ruk Jata Hai for youth and Student by Aasnath Kanwal. Free Download Kaghaz Qalam Dawat Ke Andar Ruk Jata Hai in PDF.