Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_20d824829cf0c27bf4ea3569294f465e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hazaron Tarah Apna Dard Hum Usko Sunate Hain - Aasi Uldani Poetry In English - Darsaal

Hazaron Tarah Apna Dard Hum Usko Sunate Hain

hazaron tarah apna dard hum us ko sunate hain

magar taswir ko har haal mein taswir pate hain

bujha de ai hawa-e-tund madfan ke charaghon ko

siyah-baKHti mein ye ek bad-numa dhabba lagate hain

murattab kar gaya ek ishq ka qanun duniya mein

wo diwane hain jo majnun ko diwana batate hain

usi mahfil se main rota hua aaya hun ai 'asi'

ishaare mein jahan lakhon muqaddar badle jate hain

(1578) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazaron Tarah Apna Dard Hum Usko Sunate Hain In English By Famous Poet Aasi Uldani. Hazaron Tarah Apna Dard Hum Usko Sunate Hain is written by Aasi Uldani. Read famous Poem Hazaron Tarah Apna Dard Hum Usko Sunate Hain for youth and Student by Aasi Uldani. Free Download Hazaron Tarah Apna Dard Hum Usko Sunate Hain in PDF.