Nasri Nazm
nasr abba nazm aman donon ko inkar hai
ye jo nasri nazm hai ye kis ki paida-war hai
sirf laffazi pe mabni hai ye tajridi kalam
jis mein anqa hain maani lafz parda-dar hai
nasr hai gar nasr to wo nazm ho sakti nahin
nazm jo ho nasr ki manind wo be-kar hai
qafiye ki koi pabandi na hai qaid-e-radif
be-dar-o-diwar ka ye ghar bhi kya purkar hai
bahr se aazad qaid-e-wazan se hai be-niyaz
wah kya mother pidar aazad ye dildar hai
martabe mein 'mir' o 'momin' se hai har koi buland
in mein har be-bahr ghaalib se baDa fankar hai
jis ke chamche jitne zyaada hon wo utna hi azim
aaj kal misra uThana ek karobar hai
dad sirf apno ko dete hain giroh-andar-giroh
un ke Tole se jo bahar ho gaya murdar hai
ban gaya ustad-o-allama yahan har be-shuur
kor-chashm ahl-e-nazar hone ka dawedar hai
shairi juz-shairi hai hai zara mehnat-talab
aur mehnat hi wo shai hai jis se un ko aar hai
pop-music ke liye mauzun hai nasri shairi
har riwayat se baghawat ki ye dawedar hai
tab-e-mauzun gar na baKHshi ho KHuda ne aap ko
shairi kyun kije aaKHir kya KHuda ki mar hai
dad dena aisi nazmon ko baDi be-dad hai
jo na samjha aur kahe samjha baDa makkar hai
(1510) Peoples Rate This