Sar Jhukae Sar-e-mahshar Jo Gunahgar Aae
sar jhukae sar-e-mahshar jo gunahgar aae
us ke andaz pe rahmat ko na kyun pyar aae
jam-o-paimana se mai-KHana se kya kaam use
ho ke saqi ki nigahon se jo sarshaar aae
di sada dil ne zara aur bhi dushwar ho rah
raste jab bhi mere samne hamwar aae
zindagi kyun na mere maut pe un ki jo log
muskuraate hue zindan se sar-e-dar aae
main ne tazin-e-chaman ke liye KHun apna diya
pae phul auron ne hisse mein mere KHar aae
bankpan apni tabiat ka kabhi kam na hua
samne apne koi lakh tarah-dar aae
aise jaan-bazon ki ban jae na kyun maut hayat
muskuraate hue 'asi' jo sar-e-dar aae
(1679) Peoples Rate This