Manzil Pe Le Ke Pahunchega Azm-e-jawan Mujhe
manzil pe le ke pahunchega azm-e-jawan mujhe
kah do na sath le ke chale karwan mujhe
sunta hun phir chaman mein hui KHema-zan bahaar
aae na kyun qafas mein bhi yaad aashiyan mujhe
khoya hua hun un ke tasawwur mein is tarah
jaise sunae un ki koi dastan mujhe
ye jab bhi aai lai nawed-e-bahaar bhi
phir kyun bahaar se na ho pyari KHizan mujhe
main ho gaya hun kab se nasheman se be-niyaz
kah de koi Darae na barq-e-tapan mujhe
ek waqt tha chaman ke liye mar miTe the hum
rahne usi chaman mein na de baghban mujhe
(1435) Peoples Rate This