Manus Ho Gae Hain Gham-e-zindagi Se Hum
manus ho gae hain gham-e-zindagi se hum
hum ko KHushi mile to na lenge KHushi se hum
phulon ki aarzu na karenge kisi se hum
kanTe sameT lae hain un ki gali se hum
hum sham-e-gham ko subh-e-masarrat ka nam den
suraj karen tulua na kyun tirgi se hum
sach ke liye hum aaj ke suqraat ban gae
pite hain jam zahr ka apni KHushi se hum
hum mil ke KHud se KHud ko bhi pahchante nahin
apne liye bhi ban gae hain ajnabi se hum
gham khate khate ho gaya manus-e-gham mizaj
ho jate hain fasurda-o-mahwar KHushi se hum
hum ko watan mein ab koi pahchanta nahin
apne watan mein phirte hain ab ajnabi se hum
ban jaen kyun na KHud hi numud-e-sahar ki zau
'asi' ziya talab na karen tirgi se hum
(1625) Peoples Rate This