Kya Masarrat Hai Puchhiye Humse
kya masarrat hai puchhiye hum se
hai ibarat har ek KHushi gham se
araq-alud aap ka chehra
ho dhula phul jaise shabnam se
zabt-e-girya se raaz-e-gham tha chhupa
khul gaya aaj chashm-e-pur-nam se
dard-e-dil ka nahin koi darman
zaKHm kya mundamil ho marham se
dar-haqiqat qarib rahte hain
wo ba-zahir hi dur hain hum se
jab azal se KHata zamir mein hai
kyun KHata ho na ibn-e-adam se
(1359) Peoples Rate This