Hain Ahl-e-chaman Hairan Ye Kaisi Bahaar Aai
hain ahl-e-chaman hairan ye kaisi bahaar aai
hain phul khile lekin hai rang na ranai
un ke ruKH-e-rangin se is saad-e-simin se
phulon ne phaban pai suraj ne ziya pai
sab mai-kade viran hain sunsan gulistan hain
kahne ko ghaTa chhai kahne ko bahaar aai
madhoshi-o-masti ka andaz nirala hai
mai rindon ne pi kam hi paimanon se chhalkai
tanhai mein rah kar bhi tanha nahin hote hum
tanhai mein yaadon ki jab chalti hai purwai
is daur mein jina bhi kuchh kam nahin marne se
na-karda gunahon ki jaise ho saza pai
hanste hue marne ko tayyar jo rahte hain
aise hi jiyalon ne jine ki ada pai
is daur ke insan ka andaz nirala hai
apne ko adu samjhen ghairon se shanasai
(1525) Peoples Rate This