Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e0addd47f15bbb1cff223af3cc785f2c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bab-e-qafas Khulne Ko Khula Hai - Aasi Ramnagri Poetry In English - Darsaal

Bab-e-qafas Khulne Ko Khula Hai

bab-e-qafas khulne ko khula hai

bahar bhi to dam bichha hai

us ke siwa sab bhul gaya hun

jab se wo mere dil mein basa hai

baDhne lagi hai dil ki dhaDkan

shayad us ne yaad kiya hai

qafile walo KHair manao

rahzan hi jab rah-numa hai

sahil sahil bhi kya chalna

maujon pe safina Dal diya hai

apni marzi apni raza kya

sab se baDh kar us ki raza hai

aaj ke insan ki mat puchho

jaise KHuda se bhi ye baDa hai

(1964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bab-e-qafas Khulne Ko Khula Hai In English By Famous Poet Aasi Ramnagri. Bab-e-qafas Khulne Ko Khula Hai is written by Aasi Ramnagri. Read famous Poem Bab-e-qafas Khulne Ko Khula Hai for youth and Student by Aasi Ramnagri. Free Download Bab-e-qafas Khulne Ko Khula Hai in PDF.