Asiran-e-qafas Aisa To Ho Tarz-e-fughan Apna
asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna
ki ho sayyaad KHud bhi rafta rafta ham-zaban apna
kiye ja kaam han ai gardish-e-daur-e-zaman apna
hamein bhi dekhna hai kaise miTta hai nishan apna
adu hain bijliyan apni na dushman aasman apna
hamein KHud apne hathon phunkte hain aashiyan apna
na kho de sust-gami hum ko bazi-gah-e-hasti mein
na gard-e-karwan rah jae ban kar karwan apna
chaman ke patte patte par hain yarab bijliyan qabiz
kahan le jaen murghan-e-chaman ab aashiyan apna
urus-e-manzil-e-maqsud mil hi jaegi ek din
yunhi chande raha garja wo paima karwan apna
jala den hum qafas ki titliyan shoala-nawai se
har ek murgh-e-chaman 'asi' agar ho ham-zaban apna
(1376) Peoples Rate This