Ajib Shahr Ka Naqsha Dikhai Deta Hai
ajib shahr ka naqsha dikhai deta hai
jidhar bhi dekho andhera dikhai deta hai
nazar nazar ki hai aur apne apne zarf ki baat
mujhe to qatre mein dariya dikhai deta hai
bura kahe jise duniya bura nahin hota
meri nazar mein wo achchha dikhai deta hai
nahin fareb-e-nazar ye yahi haqiqat hai
mujhe to shahr bhi sahra dikhai deta hai
hain sirf kahne ko bijli ke qumqume raushan
har ek samt andhera dikhai deta hai
ajib haal hai sailab ban gae sahra
jise bhi dekhiye pyasa dikhai deta hai
(1349) Peoples Rate This