Rumuz-e-maslahat Ko Zehn Par Tari Nahin Karta
rumuz-e-maslahat ko zehn par tari nahin karta
zamir-e-admiyyat se main ghaddari nahin karta
qalam shaKH-e-sadaqat hai zaban barg-e-amanat hai
jo dil mein hai wo kahta hun adakari nahin karta
main aaKHir aadmi hun koi laghzish ho hi jati hai
magar ek wasf hai mujh mein dil-azari nahin karta
main daman-e-nazar mein kis liye sara chaman bhar lun
mera zauq-e-tamasha bar-bardari nahin karta
mukafat-e-amal KHud rasta tajwiz karti hai
KHuda qaumon pe apna faisla jari nahin karta
mere bachche tujhe itna tawakkul ras aa jae
ki sar par imtihan hai aur tayyari nahin karta
main 'asi' husn ki aaina-dari KHub karta hun
magar main husn ki aaina-bardari nahin karta
(1238) Peoples Rate This