Wo Kya Hai Tera Jis Mein Jalwa Nahin Hai
wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai
na dekhe tujhe koi andha nahin hai
kahan daman-e-husn aashiq se aTka
gul-e-dagh-e-ulfat mein kanTa nahin hai
kiya hai wahan us ne paiman-e-farda
yahan hai wo shab jis ko farda nahin hai
wo kahte hain main zindagani hun teri
ye sach hai to un ka bharosa nahin hai
meri zist kyun kar na ho jawedani
jo marta hai us par wo marta nahin hai
wahi KHak uDana wahi gardishen hain
ye mana ki aashiq bagula nahin hai
gulu-gir hai un bhawon ka tasawwur
gareban mein apne kanTha nahin hai
in aankhon ko jab se basarat mili hai
siwa tere kuchh main ne dekha nahin hai
meri hasraten is qadar bhar gai hain
ki ab tere kuche mein rasta nahin hai
wo dil kya jo dilbar ki surat na pakDe
wo majnun nahin hai jo laila nahin hai
kamal-e-zuhur-e-tajalli se jaana
jo pinhan nahin hai wo paida nahin hai
(1519) Peoples Rate This