Usi Ke Jalwe The Lekin Visal-e-yar Na Tha
usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha
main us ke waste kis waqt be-qarar na tha
koi jahan mein kya aur tarah-dar na tha
teri tarah mujhe dil par to iKHtiyar na tha
KHiram jalwe ke naqsh-e-qadam the lala-o-gul
kuchh aur us ke siwa mausam-e-bahaar na tha
wo kaun nala-e-dil tha qafas mein ai sayyaad
ki misl-e-tir-e-nazar aasman shikar na tha
ghalat hai hukm-e-jahannam kise hua hoga
ki mujh se baDh ke to koi gunahgar na tha
wafur-e-be-KHudi-e-bazm-e-mai na puchho raat
koi ba-juz nigah-e-yar hoshiyar na tha
lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin
koi libas na tha jo ki mustaar na tha
to mahw-e-gul-ban-o-gulzar ho gaya 'asi'
teri nazar mein jamal-e-KHayal-e-yar na tha
(1695) Peoples Rate This