Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9000c25fe4ce8662981401cf09e32d5d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Kuche Ka Rahnuma Chahta Hun - Aasi Ghazipuri Poetry In English - Darsaal

Tere Kuche Ka Rahnuma Chahta Hun

tere kuche ka rahnuma chahta hun

magar ghair ka naqsh-e-pa chahta hun

jahan tak ho tujh se jafa chahta hun

ki main imtihan-e-wafa chahta hun

KHuda se tera chahna chahta hun

mera chahna dekh kya chahta hun

kahan rang-e-wahdat kahan zauq-e-waslat

main apne ko tujh se juda chahta hun

barabar rahi hadd-e-yar-o-mohabbat

kisi ko main be-intiha chahta hun

kahan hai teri barq-e-josh-e-tajalli

ki main saz-o-barg-e-fana chahta hun

wo jab kho chuke mujh ko hasti se apni

to kahte hain ab main mila chahta hun

junun-e-mohabbat mein pand-e-adu kya

bhala main kisi ka bura chahta hun

tabiat ki mushkil-pasandi to dekho

hasinon se tark-e-wafa chahta hun

jo dil main ne chaha to kya KHak chaha

ki dil bhi to be-muddaa chahta hun

ye hasrat ki lazzat ye zauq-e-tamanna

shab-e-wasl un se haya chahta hun

siwa is ke main kya kahun tum se 'asi'

ki darwesh ho tum dua chahta hun

(1734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Kuche Ka Rahnuma Chahta Hun In English By Famous Poet Aasi Ghazipuri. Tere Kuche Ka Rahnuma Chahta Hun is written by Aasi Ghazipuri. Read famous Poem Tere Kuche Ka Rahnuma Chahta Hun for youth and Student by Aasi Ghazipuri. Free Download Tere Kuche Ka Rahnuma Chahta Hun in PDF.