Tab-e-didar Ju Lae Mujhe Wo Dil Dena
tab-e-didar ju lae mujhe wo dil dena
munh qayamat mein dikha sakne ke qabil dena
na-tawanon ke sahaare ko hai ye bhi kafi
daman-e-lutf ghubar-e-pas-e-mahmil dena
zauq mein surat-e-mauj aa ke fana ho jaun
koi bosa to bhala ai lab-e-sahil dena
hae re hae teri uqda-kushai ke maze
tu hi khole jise wo uqda-e-mushkil dena
ek fitna hai qayamat mein bahaar-e-firdaus
juz tere kuchh bhi na chahe mujhe wo dil dena
dard ka koi mahal hi nahin jab dal ke siwa
mujh ko har uzw ke badle hama-tan dil dena
(1403) Peoples Rate This